jahan ke ruKH pe agar khiDkiyan banate hum
jahāñ ke ruḳh pe agar khiḌkiyāñ banāte ham
to sirf saañs kī āsāniyāñ banāte ham
pahan pahan ke dikhāne ko Dher lag jaatā
ye shor kaaT ke tanhā.iyāñ banāte ham
koī to ḳhvāb ke us paar bhī pahuñch jaatā
zarā sā jāgte aur kashtiyāñ banāte ham
hamāre shahr meñ hotī na rasm-e-sañg-zanī
to canvas pe harī beriyāñ banāte ham
saḌak banāte hue tum kuchal na jaate hameñ
mohabbatoñ se bharī gāḌiyāñ banāte ham
ye Thos meñ bhī azānoñ se āshnā hotī
agar uThān meñ kuchh jāliyāñ banāte ham
tabhī gul-o-samar-o-sāya kī sanad miltī
zamīñ ko paḌhte hue kyāriyāñ banāte ham
diloñ meñ taaza havā kī chalat-phirat rahtī
ta.assubāt meñ rahdāriyāñ banāte ham
jahān-bhar ko rihā.ish kī aarzū hotī
ba-tarz-e-vasl tirī dūriyāñ banāte ham
ninānve pe jame saañp se nimaT lete
tire liye to faqat sīḌhiyāñ banāte ham
jahan ke ruKH pe agar khiDkiyan banate hum
to sirf sans ki aasaniyan banate hum
pahan pahan ke dikhane ko Dher lag jata
ye shor kaT ke tanhaiyan banate hum
koi to KHwab ke us par bhi pahunch jata
zara sa jagte aur kashtiyan banate hum
hamare shahr mein hoti na rasm-e-sang-zani
to canwas pe hari beriyan banate hum
saDak banate hue tum kuchal na jate hamein
mohabbaton se bhari gaDiyan banate hum
ye Thos mein bhi azanon se aashna hoti
agar uThan mein kuchh jaliyan banate hum
tabhi gul-o-samar-o-saya ki sanad milti
zamin ko paDhte hue kyariyan banate hum
dilon mein taza hawa ki chalat-phirat rahti
tassubaat mein rahdariyan banate hum
jahan-bhar ko rihaish ki aarzu hoti
ba-tarz-e-wasl teri duriyan banate hum
ninanwe pe jame sanp se nimaT lete
tere liye to faqat siDhiyan banate hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.