jahan ko banT kar KHushiyan jo muskanon mein rahte the
jahāñ ko baañT kar ḳhushiyāñ jo muskānoñ meñ rahte the
vo mahloñ meñ nahīñ 'tashna' bayābānoñ meñ rahte the
hamāre ghar meñ laayā kaun in masnūī phūloñ ko
yahāñ pahle to aslī phuul gul-dānoñ meñ rahte the
unheñ bhī shauq-e-duniyā ne ġhulām apnā banā Daalā
hamesha ġharq jo tasbīh ke dānoñ meñ rahte the
utar aa.e haiñ saḌkoñ par vo sāġhar toḌ kar apne
ġham-e-daurāñ se be-parvā jo mai-ḳhānoñ meñ rahte the
ḳhatā bas ye hui sachchā.iyoñ se muñh nahīñ moḌā
vagarna ham bhī us ke ḳhaas mehmānoñ meñ rahte the
viriddha-āshram meñ un ke aañsū kaun poñchhegā
hamāre gaañv meñ jo log dālānoñ meñ rahte the
jalāl aatā thā jis dam ham faqīroñ ko to ai 'tashna'
laraz jaate the vo bhī jo ki aivānoñ meñ rahte the
jahan ko banT kar KHushiyan jo muskanon mein rahte the
wo mahlon mein nahin 'tashna' bayabanon mein rahte the
hamare ghar mein laya kaun in masnui phulon ko
yahan pahle to asli phul gul-danon mein rahte the
unhen bhi shauq-e-duniya ne ghulam apna bana Dala
hamesha gharq jo tasbih ke danon mein rahte the
utar aae hain saDkon par wo saghar toD kar apne
gham-e-dauran se be-parwa jo mai-KHanon mein rahte the
KHata bas ye hui sachchaiyon se munh nahin moDa
wagarna hum bhi us ke KHas mehmanon mein rahte the
wiriddha-ashram mein un ke aansu kaun ponchhega
hamare ganw mein jo log dalanon mein rahte the
jalal aata tha jis dam hum faqiron ko to ai 'tashna'
laraz jate the wo bhi jo ki aiwanon mein rahte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.