jahan koi nahin hota hai wahan chiKHta hai
jahāñ koī nahīñ hotā hai vahāñ chīḳhtā hai
ye mirā dost mire saath kahāñ chīḳhtā hai
chup hī rahne kī tamannā tire darvesh ko hai
varna jis shaḳhs ko miltā hai ziyāñ chīḳhtā hai
ba.az auqāt jo cigarette maiñ kuchal detā huuñ
adh-jale soḳhta cigarette kā dhuāñ chīḳhtā hai
jab kabhī sher meñ laane kī tujhe koshish ho
lafz siskāriyāñ bharte haiñ gumāñ chīḳhtā hai
apne 'sarvat' kī kahānī se nahīñ vāqif tum
naam se is ke station bhī miyāñ chīḳhtā hai
jahan koi nahin hota hai wahan chiKHta hai
ye mera dost mere sath kahan chiKHta hai
chup hi rahne ki tamanna tere darwesh ko hai
warna jis shaKHs ko milta hai ziyan chiKHta hai
baz auqat jo cigarette main kuchal deta hun
adh-jale soKHta cigarette ka dhuan chiKHta hai
jab kabhi sher mein lane ki tujhe koshish ho
lafz siskariyan bharte hain guman chiKHta hai
apne 'sarwat' ki kahani se nahin waqif tum
nam se is ke station bhi miyan chiKHta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.