jahan mein ab kisi ka bhi kisi ko Dar nahin raha
jahāñ meñ ab kisī kā bhī kisī ko Dar nahīñ rahā
ḳhudā ḳhudā nahīñ rahā bashar bashar nahīñ rahā
kisī ke dard kā yahāñ ilaaj hī nahīñ koī
davā hī kyā duā meñ bhī koī asar nahīñ rahā
machine ban gayā hai aadmī ġham-e-ma.āsh meñ
dhaḌaktā dil pighaltā us kā ab jigar nahīñ rahā
shajar shajar jhulas gayā alam kī tez dhuup meñ
jo ham ko chhāñv de kahīñ koī shajar nahīñ rahā
bike hue haiñ sajde ab har āstāñ hai ik dukāñ
ḳhulūs jis jagah jhuke vo sang-e-dar nahīñ rahā
gunāh kyā savāb kyā jab aa gayā tire huzūr
sazā jazā kā 'sehr' ko koī ḳhatar nahīñ rahā
jahan mein ab kisi ka bhi kisi ko Dar nahin raha
KHuda KHuda nahin raha bashar bashar nahin raha
kisi ke dard ka yahan ilaj hi nahin koi
dawa hi kya dua mein bhi koi asar nahin raha
machine ban gaya hai aadmi gham-e-maash mein
dhaDakta dil pighalta us ka ab jigar nahin raha
shajar shajar jhulas gaya alam ki tez dhup mein
jo hum ko chhanw de kahin koi shajar nahin raha
bike hue hain sajde ab har aastan hai ek dukan
KHulus jis jagah jhuke wo sang-e-dar nahin raha
gunah kya sawab kya jab aa gaya tere huzur
saza jaza ka 'sehr' ko koi KHatar nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.