jahan mein aise kuchh insan bhi hain
jahāñ meñ aise kuchh insān bhī haiñ
ki jin se sar-nigūñ tūfān bhī haiñ
Dubo kar duur sāhil par khaḌe haiñ
tamāshā ban ke ḳhud hairān bhī haiñ
bure kāmoñ kā dete mashvara haiñ
yahāñ insāñ-numā shaitān bhī haiñ
ḳhalā meñ tāqateñ do haiñ muqābil
tabassum-rez kuchh tūfān bhī haiñ
na parvāne jalā ai sham'-e-mahfil
adab kar ye tire mehmān bhī haiñ
ta'alluq un se ulfat meñ hai mushkil
ki vo bhūle bhī haiñ anjān bhī haiñ
karam un ke ginā.ūñ ab maiñ kyā kyā
jafāoñ ke bahut 'unvān bhī haiñ
ḳhudā kā fazl kyā kam hai ye 'bāsir'
ki ab ham sāhib-e-dīvān bhī haiñ
jahan mein aise kuchh insan bhi hain
ki jin se sar-nigun tufan bhi hain
Dubo kar dur sahil par khaDe hain
tamasha ban ke KHud hairan bhi hain
bure kaamon ka dete mashwara hain
yahan insan-numa shaitan bhi hain
KHala mein taqaten do hain muqabil
tabassum-rez kuchh tufan bhi hain
na parwane jala ai sham'-e-mahfil
adab kar ye tere mehman bhi hain
ta'alluq un se ulfat mein hai mushkil
ki wo bhule bhi hain anjaan bhi hain
karam un ke ginaun ab main kya kya
jafaon ke bahut 'unwan bhi hain
KHuda ka fazl kya kam hai ye 'basir'
ki ab hum sahib-e-diwan bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.