Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan mein Dalte rahte hain ma-siwa ki tarah

Ghulam Husain Sajid

jahan mein Dalte rahte hain ma-siwa ki tarah

Ghulam Husain Sajid

MORE BYGhulam Husain Sajid

    Interesting Fact

    17, 18 January,2004, Lahore

    jahāñ meñ Dālte rahte haiñ mā-sivā tarah

    daraḳht chal nahīñ sakte magar havā tarah

    bhaTak kar aa.ī thī kuchh der ko idhar duniyā

    lipaT ga.ī mire dil se kisī balā tarah

    mire hisār se bāhar bhī vo nahīñ rahtā

    mire qarīb bhī aatā nahīñ ḳhudā tarah

    bahut se rañg utarte haiñ merī āñkhoñ meñ

    kisī ke dhyān meñ uljhī huī sadā tarah

    utar gayā mire dil meñ vo be-dhaḌak lekin

    laboñ par aa nahīñ paayā hai mudda.ā tarah

    ravāñ-davāñ haiñ mire ās-pās ashiyā

    paḌā huā huuñ zamīñ par maiñ naqsh-e-pā tarah

    simaT sakūñgā na apne vajūd meñ 'sājid'

    pahan liyā hai kisī ne mujhe qabā tarah

    jahan mein Dalte rahte hain ma-siwa ki tarah

    daraKHt chal nahin sakte magar hawa ki tarah

    bhaTak kar aai thi kuchh der ko idhar duniya

    lipaT gai mere dil se kisi bala ki tarah

    mere hisar se bahar bhi wo nahin rahta

    mere qarib bhi aata nahin KHuda ki tarah

    bahut se rang utarte hain meri aankhon mein

    kisi ke dhyan mein uljhi hui sada ki tarah

    utar gaya mere dil mein wo be-dhaDak lekin

    labon par aa nahin paya hai muddaa ki tarah

    rawan-dawan hain mere aas-pas ki ashiya

    paDa hua hun zamin par main naqsh-e-pa ki tarah

    simaT sakunga na apne wajud mein 'sajid'

    pahan liya hai kisi ne mujhe qaba ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now