jahan mein DhunD rahe ho masarraten kaisi
jahāñ meñ DhūñD rahe ho masarrateñ kaisī
ye ġham-kada hai miyāñ is meñ rāhateñ kaisī
mire gunāhoñ pe chhā.ī haiñ rahmateñ kaisī
'atā huī haiñ muqaddar ko rif'ateñ kaisī
jahāñ meñ tujh ko hai shikva 'abas añdheroñ kā
agar ho dil meñ ujālā to zulmateñ kaisī
the aur log bhī mahfil meñ mahv-e-nazzāra
faqat hamīñ pe haiñ 'aa.ed ye tohmateñ kaisī
ye kis ne aa.ina dikhlā diyā hai maazī ko
rukī haiñ ek hī markaz pe sā'ateñ kaisī
hai sahmī sahmī guloñ kī shaguftagī 'jagdīsh'
rukī rukī haiñ tabassum kī hasrateñ kaisī
jahan mein DhunD rahe ho masarraten kaisi
ye gham-kada hai miyan is mein rahaten kaisi
mere gunahon pe chhai hain rahmaten kaisi
'ata hui hain muqaddar ko rif'aten kaisi
jahan mein tujh ko hai shikwa 'abas andheron ka
agar ho dil mein ujala to zulmaten kaisi
the aur log bhi mahfil mein mahw-e-nazzara
faqat hamin pe hain 'aed ye tohmaten kaisi
ye kis ne aaina dikhla diya hai mazi ko
ruki hain ek hi markaz pe sa'aten kaisi
hai sahmi sahmi gulon ki shaguftagi 'jagdish'
ruki ruki hain tabassum ki hasraten kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.