jahan mein hai har ek ik na ek ada ke liye
jahāñ meñ hai har ik ik na ik adā ke liye
koī vafā ke liye hai koī jafā ke liye
hai ek ghūñT bahut shaiḳh-e-pārsā ke liye
gilās bhar ke na do mai-kasho ḳhudā ke liye
hamāre dard ko be-dard dard jaane kyā
ye dard vo hai ki hai dard-āshnā ke liye
kahīñ tumhīñ ko tumhārī nazar na ho jaa.e
na dekho aa.ina ai jān-e-man ḳhudā ke liye
falak ko toḌ ke 'arsh-e-barīñ hilā denā
hai sahl kaam mire nāla-e-rasā ke liye
zahe-nasīb ki apne vafā-shi.āroñ meñ
mujhī ko chun liyā us shoḳh ne jafā ke liye
hadaf banā.egā dil ko mire jigar ko bhī
tirī nigāh kā paikāñ nahīñ ḳhatā ke liye
falak se hotī haiñ nāzil balā.eñ ban ban kar
kabhī jo haath uThātā huuñ maiñ ḳhudā ke liye
jahān meñ koī is se judā nahīñ ai dil
ḳhatā bashar ke liye hai bashar ḳhatā ke liye
agar hai sar tire ḳhanjar ke vāste ai tark
to hai jigar bhī mirā nāvak-e-adā ke liye
milā usī ko maza zindagī kā ai 'sābir'
jo mar-miTā hai kisī shoḳh-e-pārsā ke liye
jahan mein hai har ek ek na ek ada ke liye
koi wafa ke liye hai koi jafa ke liye
hai ek ghunT bahut shaiKH-e-parsa ke liye
gilas bhar ke na do mai-kasho KHuda ke liye
hamare dard ko be-dard dard jaane kya
ye dard wo hai ki hai dard-ashna ke liye
kahin tumhin ko tumhaari nazar na ho jae
na dekho aaina ai jaan-e-man KHuda ke liye
falak ko toD ke 'arsh-e-barin hila dena
hai sahl kaam mere nala-e-rasa ke liye
zahe-nasib ki apne wafa-shiaron mein
mujhi ko chun liya us shoKH ne jafa ke liye
hadaf banaega dil ko mere jigar ko bhi
teri nigah ka paikan nahin KHata ke liye
falak se hoti hain nazil balaen ban ban kar
kabhi jo hath uThata hun main KHuda ke liye
jahan mein koi is se juda nahin ai dil
KHata bashar ke liye hai bashar KHata ke liye
agar hai sar tere KHanjar ke waste ai tark
to hai jigar bhi mera nawak-e-ada ke liye
mila usi ko maza zindagi ka ai 'sabir'
jo mar-miTa hai kisi shoKH-e-parsa ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.