jahan mein hoti hain logon ki hajaten kya kya
jahāñ meñ hotī haiñ logoñ kī hājateñ kyā kyā
likhī haiñ chehroñ pe un ke ibārateñ kyā kyā
nayā zamāna hai har moḌ se sañbhal ke nikal
khaḌī haiñ raah meñ uryāñ zarūrateñ kyā kyā
baḌe ḳhulūs se ham ajnabī se milte haiñ
zarūratoñ kī zarūrat haiñ chāhateñ kyā kyā
tamām rishte dikhāve ke rishte lagte haiñ
diloñ meñ ghol rahī haiñ hiqārateñ kyā kyā
tavīl umr guzārī hai aur tanhā huuñ
milī haiñ apnoñ kī mujh ko mohabbateñ kyā kyā
fanā kī gard se bachnā 'nasīm' mushkil hai
bigaḌtī dekhī haiñ ujlī shabāhateñ kyā kyā
jahan mein hoti hain logon ki hajaten kya kya
likhi hain chehron pe un ke ibaraten kya kya
naya zamana hai har moD se sanbhal ke nikal
khaDi hain rah mein uryan zaruraten kya kya
baDe KHulus se hum ajnabi se milte hain
zaruraton ki zarurat hain chahaten kya kya
tamam rishte dikhawe ke rishte lagte hain
dilon mein ghol rahi hain hiqaraten kya kya
tawil umr guzari hai aur tanha hun
mili hain apnon ki mujh ko mohabbaten kya kya
fana ki gard se bachna 'nasim' mushkil hai
bigaDti dekhi hain ujli shabahaten kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.