jahan mein koi tumhaara jawab ho na saka
jahāñ meñ koī tumhārā javāb ho na sakā
sitārā laakh baḌhā āftāb ho na sakā
ḳhushī ke chand hī lamhe the gin liye lekin
ġham-e-jahāñ kā kisī se hisāb ho na sakā
yahāñ to chāroñ taraf pattharoñ kī bārish thī
koī bhī sang nishāna-ma.āb ho na sakā
qusūr is ko samjhiye mirī basārat kā
vo be-libās rahā be-hijāb ho na sakā
mire lahū ne bahāroñ ko tāzgī de dī
fasurda un ke laboñ kā gulāb ho na sakā
ise samajhnā to mumkin nahīñ hai ai 'anvar'
vo ek chehra jo dil kī kitāb ho na sakā
jahan mein koi tumhaara jawab ho na saka
sitara lakh baDha aaftab ho na saka
KHushi ke chand hi lamhe the gin liye lekin
gham-e-jahan ka kisi se hisab ho na saka
yahan to chaaron taraf pattharon ki barish thi
koi bhi sang nishana-maab ho na saka
qusur is ko samjhiye meri basarat ka
wo be-libas raha be-hijab ho na saka
mere lahu ne bahaaron ko tazgi de di
fasurda un ke labon ka gulab ho na saka
ise samajhna to mumkin nahin hai ai 'anwar'
wo ek chehra jo dil ki kitab ho na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.