jahan mein mar mar ke ji raha hun KHushi KHushi gham uTha raha hun
jahan mein mar mar ke ji raha hun KHushi KHushi gham uTha raha hun
Faizi Nizam Puri
MORE BYFaizi Nizam Puri
jahāñ meñ mar mar ke jī rahā huuñ ḳhushī ḳhushī ġham uThā rahā huuñ
umiid himmat baḌhā rahī hai fareb-e-duniyā bhī khā rahā huuñ
mirī mohabbat ḳhafā ḳhafā hai mirī tamanna hai rūThī rūThī
ajiib aalam hai aaj merā ki sab ko begāna pā rahā huuñ
na pūchhiye kuchh jigar kī sozish nazar kī tābish nafas kī garmī
kisī ne baḳhshī hai ātish-e-ġham isī meñ ḳhud ko jalā rahā huuñ
sisaktī aaheñ machalte aañsū ye aaj hai har bashar kā aalam
chalegī āñdhī uTheñge tūfāñ kuchh aise āsār pā rahā huuñ
dil-o-nazar kā muāmla hai ki imtihāñ husn-o-ishq kā hai
koī mujhe aazmā rahā hai kisī ko maiñ aazmā rahā huuñ
laraztī palkoñ pe chand aañsū jo aaj rah rah ke aa rahe haiñ
diye haiñ nākām hasratoñ ke jalā rahā huuñ bujhā rahā huuñ
mirī vafā rāhbar hai merī mirī tamanna hai saath mere
zarūr manzil milegī ik din nishān manzil ke pā rahā huuñ
nazākat-e-dil nigāh-e-ulfat jamāl-e-hastī bahār-e-duniyā
ye sab ke sab haiñ hasīn dhoke magar maiñ dānista khā rahā huuñ
jahan mein mar mar ke ji raha hun KHushi KHushi gham uTha raha hun
umid himmat baDha rahi hai fareb-e-duniya bhi kha raha hun
meri mohabbat KHafa KHafa hai meri tamanna hai ruThi ruThi
ajib aalam hai aaj mera ki sab ko begana pa raha hun
na puchhiye kuchh jigar ki sozish nazar ki tabish nafas ki garmi
kisi ne baKHshi hai aatish-e-gham isi mein KHud ko jala raha hun
sisakti aahen machalte aansu ye aaj hai har bashar ka aalam
chalegi aandhi uThenge tufan kuchh aise aasar pa raha hun
dil-o-nazar ka muamla hai ki imtihan husn-o-ishq ka hai
koi mujhe aazma raha hai kisi ko main aazma raha hun
larazti palkon pe chand aansu jo aaj rah rah ke aa rahe hain
diye hain nakaam hasraton ke jala raha hun bujha raha hun
meri wafa rahbar hai meri meri tamanna hai sath mere
zarur manzil milegi ek din nishan manzil ke pa raha hun
nazakat-e-dil nigah-e-ulfat jamal-e-hasti bahaar-e-duniya
ye sab ke sab hain hasin dhoke magar main danista kha raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.