jahan mein phul nahin koi zindagi jaisa
jahāñ meñ phuul nahīñ koī zindagī jaisā
ajab nahīñ jo farishta ho aadmī jaisā
milā hai miT ke mohabbat meñ ye maqām mujhe
kisī kā ġham hai añdhere meñ raushnī jaisā
har ek phuul hai āsūda-e-bahār magar
kisī ke lab pe tabassum nahīñ kalī jaisā
vo aa ga.e shab-e-va.ada to haal kyā hogā
abhī se ghar meñ ujālā hai chāñdnī jaisā
maiñ apne ghar meñ jalā.ūñ bhī kyoñ charāġh abhī
tirā ḳhayāl to hai dil meñ raushnī jaisā
hue haiñ log to gumnām be-vatan ho kar
maiñ apne shahr meñ lagtā huuñ ajnabī jaisā
jahān-e-ġham kā har ik ġham hai merā ġham 'shādāñ'
maiñ aadmī huuñ to dil bhī hai aadmī jaisā
jahan mein phul nahin koi zindagi jaisa
ajab nahin jo farishta ho aadmi jaisa
mila hai miT ke mohabbat mein ye maqam mujhe
kisi ka gham hai andhere mein raushni jaisa
har ek phul hai aasuda-e-bahaar magar
kisi ke lab pe tabassum nahin kali jaisa
wo aa gae shab-e-wada to haal kya hoga
abhi se ghar mein ujala hai chandni jaisa
main apne ghar mein jalaun bhi kyon charagh abhi
tera KHayal to hai dil mein raushni jaisa
hue hain log to gumnam be-watan ho kar
main apne shahr mein lagta hun ajnabi jaisa
jahan-e-gham ka har ek gham hai mera gham 'shadan'
main aadmi hun to dil bhi hai aadmi jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.