jahan mein rah ke bhi hum kab jahan mein rahte hain
jahan mein rah ke bhi hum kab jahan mein rahte hain
Sajjad Baqar Rizvi
MORE BYSajjad Baqar Rizvi
jahāñ meñ rah ke bhī ham kab jahāñ meñ rahte haiñ
makāñ ko chhoḌ chuke haiñ zamāñ meñ rahte haiñ
tire ḳhayāl meñ apnā guzar nahīñ hotā
jo dil se gir ga.e vahm-o-gumāñ meñ rahte haiñ
chhaTe ġhubār to nām-o-nishāñ hamārā mile
ki ham to gard-e-pas-e-kārvāñ meñ rahte haiñ
jo ḳhaar haiñ vo khaTakte haiñ chashm-e-a.adā meñ
jo phuul haiñ vo dil-e-dostāñ meñ rahte haiñ
shaguft-e-jāñ ke liye khīñch ranj-e-mahrūmī
bahār ke sabhī mausam ḳhizāñ meñ rahte haiñ
nahīñ jo vo to dar-o-bām kī fazā se milo
makīñ ke rang-e-tabī'at makāñ meñ rahte haiñ
ham apnī aag ko paanī meñ Dhālne ke liye
tilism-kārī-e-āh-o-fuġhāñ meñ rahte haiñ
'urūj-e-ishq ye dekhā ki tere dīvāne
zamīñ pe chalte haiñ aur āsmāñ meñ rahte haiñ
kitāb-e-hāl meñ 'bāqar' ko DhūñDte ho 'abas
sunā hai dil kī kisī dāstāñ meñ rahte haiñ
jahan mein rah ke bhi hum kab jahan mein rahte hain
makan ko chhoD chuke hain zaman mein rahte hain
tere KHayal mein apna guzar nahin hota
jo dil se gir gae wahm-o-guman mein rahte hain
chhaTe ghubar to nam-o-nishan hamara mile
ki hum to gard-e-pas-e-karwan mein rahte hain
jo KHar hain wo khaTakte hain chashm-e-ada mein
jo phul hain wo dil-e-dostan mein rahte hain
shaguft-e-jaan ke liye khinch ranj-e-mahrumi
bahaar ke sabhi mausam KHizan mein rahte hain
nahin jo wo to dar-o-baam ki faza se milo
makin ke rang-e-tabi'at makan mein rahte hain
hum apni aag ko pani mein Dhaalne ke liye
tilism-kari-e-ah-o-fughan mein rahte hain
'uruj-e-ishq ye dekha ki tere diwane
zamin pe chalte hain aur aasman mein rahte hain
kitab-e-haal mein 'baqar' ko DhunDte ho 'abas
suna hai dil ki kisi dastan mein rahte hain
- Book : Kulliyat-e-Baqir (Pg. 304)
- Author : Sajjad Baqir Rizvi
- Publication : Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.