jahan-panah KHanuman hawa uDa ke le gai
jahāñ-panāh ḳhānumāñ havā uḌā ke le ga.ī
vo dil-navāz bāñdiyāñ havā uḌā ke le ga.ī
fishār zo.af-e-bāh kā vabāl ban gayā huzūr
haram se saarī lauñDiyāñ havā uḌā ke le ga.ī
aziim qila-dār sab asiir kar liye ga.e
jo jang-jū the nā-tavāñ havā uḌā ke le ga.ī
bahār chhīn lī ga.ī ḳhizāñ kā daur aa gayā
shagufta bel-būTiyāñ havā uḌā ke le ga.ī
ḳhushā vo lahr-e-inqalāb ḳhatm ho gayā azaab
magar vo ḳhvāb kā jahāñ havā uḌā ke le ga.ī
savād-e-qatl-gāh ke ḳhilāf raushnī huī
firangiyoñ kī Topiyāñ havā uḌā ke le ga.ī
ravā-ravī ne zindagī ko aa.ina dikhā diyā
magar ġhazal se shoḳhiyāñ havā uḌā ke le ga.ī
jahan-panah KHanuman hawa uDa ke le gai
wo dil-nawaz bandiyan hawa uDa ke le gai
fishaar zoaf-e-bah ka wabaal ban gaya huzur
haram se sari launDiyan hawa uDa ke le gai
azim qila-dar sab asir kar liye gae
jo jang-ju the na-tawan hawa uDa ke le gai
bahaar chhin li gai KHizan ka daur aa gaya
shagufta bel-buTiyan hawa uDa ke le gai
KHusha wo lahr-e-inqalab KHatm ho gaya azab
magar wo KHwab ka jahan hawa uDa ke le gai
sawad-e-qatl-gah ke KHilaf raushni hui
firangiyon ki Topiyan hawa uDa ke le gai
rawa-rawi ne zindagi ko aaina dikha diya
magar ghazal se shoKHiyan hawa uDa ke le gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.