jahan pe ilm ki koi qadr aur hawala nahin
jahāñ pe ilm kī koī qadr aur havāla nahīñ
maiñ us zamīn pe paañv bhī rakhne vaalā nahīñ
maiñ us daraḳht ke andar thā jis ko kaaTā gayā
kisī ne bhī to vahāñ se mujhe nikālā nahīñ
vo apne ahd se aage kī bāteñ karne lagā
bahakte shaḳhs ko duniyā ne phir sambhālā nahīñ
har ek choT pe kuchh aur juḌne lagtā thā
so us ne mujh ko kisī shakl meñ bhī Dhālā nahīñ
ajiib ḳhauf meñ parvān chaḌh rahī hai ye nasl
kisī ke haath meñ bhī zahr kā piyāla nahīñ
ab apnī sāñsoñ se zanjīr toḌnī hai mujhe
ki haath bechne kā aur kuchh izāla nahīñ
jahan pe ilm ki koi qadr aur hawala nahin
main us zamin pe panw bhi rakhne wala nahin
main us daraKHt ke andar tha jis ko kaTa gaya
kisi ne bhi to wahan se mujhe nikala nahin
wo apne ahd se aage ki baaten karne laga
bahakte shaKHs ko duniya ne phir sambhaala nahin
har ek choT pe kuchh aur juDne lagta tha
so us ne mujh ko kisi shakl mein bhi Dhaala nahin
ajib KHauf mein parwan chaDh rahi hai ye nasl
kisi ke hath mein bhi zahr ka piyala nahin
ab apni sanson se zanjir toDni hai mujhe
ki hath bechne ka aur kuchh izala nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.