jahāñ pe kānoñ ne sunñe kā fan utaar diyā
vahāñ hamārī zabāñ ne suḳhan utaar diyā
na jaane ab ke ye kaisī bahār aa.ī hai
guloñ ke jismoñ se jis ne chaman utaar diyā
usī ne ham se chhupā.ī thī apnī 'uryānī
vo jis ke vāste ham ne badan utaar diyā
libās-e-‘ishq pahanñe kī aisī kyā zid thī
jo dostī kā hasīñ pairahan utaar diyā
binā batā.e hameñ ik ḳhayāl ne pahnā
binā lihāz kiye daf'atan utaar diyā
hameñ bhī sar pe chaḌhāyā thā fitratan sab ne
hameñ bhī sab kī tarah 'ādatan utaar diyā
har ek laash hameñ be-kafan nazar aa.ī
hamārī laash se ham ne kafan utaar diyā
jahan pe kanon ne sunne ka fan utar diya
wahan hamari zaban ne suKHan utar diya
na jaane ab ke ye kaisi bahaar aai hai
gulon ke jismon se jis ne chaman utar diya
usi ne hum se chhupai thi apni 'uryani
wo jis ke waste hum ne badan utar diya
libas-e-‘ishq pahanne ki aisi kya zid thi
jo dosti ka hasin pairahan utar diya
bina batae hamein ek KHayal ne pahna
bina lihaz kiye daf'atan utar diya
hamein bhi sar pe chaDhaya tha fitratan sab ne
hamein bhi sab ki tarah 'adatan utar diya
har ek lash hamein be-kafan nazar aai
hamari lash se hum ne kafan utar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.