jahan pe sab ke zamiron ne KHud-kushi kar li
jahāñ pe sab ke zamīroñ ne ḳhud-kushī kar lī
vahāñ pe merī dalīloñ ne ḳhud-kushī kar lī
tumhāre lahje meñ talḳhī kī taab lā na sake
zabāñ pe aate hī lafzoñ ne ḳhud-kushī kar lī
huā hai zabt pe bhārī jab apne ġham kā bojh
nikal ke aañkh se ashkoñ ne ḳhud-kushī kar lī
ma.āshre meñ vo uryāniyat kā aalam hai
ye lag rahā hai libāsoñ ne ḳhud-kushī kar lī
jo masnadoñ se kisānoñ kā chūste the lahū
batāo un ko kisānoñ ne ḳhud-kushī kar lī
ik āftāb chamakne lagā to ghabrā kar
yahāñ pe kitne charāġhoñ ne ḳhud-kushī kar lī
diyā hai dars mohabbat kā maiñ ne jab 'bismil'
lahū ke pyāse rivājoñ ne ḳhud-kushī kar lī
jahan pe sab ke zamiron ne KHud-kushi kar li
wahan pe meri dalilon ne KHud-kushi kar li
tumhaare lahje mein talKHi ki tab la na sake
zaban pe aate hi lafzon ne KHud-kushi kar li
hua hai zabt pe bhaari jab apne gham ka bojh
nikal ke aankh se ashkon ne KHud-kushi kar li
maashre mein wo uryaniyat ka aalam hai
ye lag raha hai libason ne KHud-kushi kar li
jo masnadon se kisanon ka chuste the lahu
batao un ko kisanon ne KHud-kushi kar li
ek aaftab chamakne laga to ghabra kar
yahan pe kitne charaghon ne KHud-kushi kar li
diya hai dars mohabbat ka main ne jab 'bismil'
lahu ke pyase riwajon ne KHud-kushi kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.