Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan sab apne karobar mein uljhe hue hain

Ankit Maurya

jahan sab apne karobar mein uljhe hue hain

Ankit Maurya

MORE BYAnkit Maurya

    jahāñ sab apne kārobār meñ uljhe hue haiñ

    vahīñ dekho ki ham sansār meñ uljhe hue haiñ

    ulajhne vahāñ apnā maza hai is liye ham

    kisī ke kākul-e-ḳhamdār meñ uljhe hue haiñ

    udhar hairat meñ koī aa gayā sun kar kahānī

    idhar ham is kahānī-kār meñ uljhe hue haiñ

    unheñ ye baat samjhāte hue maiñ thak gayā huuñ

    ki mujh se aap to bekār meñ uljhe hue haiñ

    jahan sab apne karobar mein uljhe hue hain

    wahin dekho ki hum sansar mein uljhe hue hain

    ulajhne ka wahan apna maza hai is liye hum

    kisi ke kakul-e-KHamdar mein uljhe hue hain

    udhar hairat mein koi aa gaya sun kar kahani

    idhar hum is kahani-kar mein uljhe hue hain

    unhen ye baat samjhate hue main thak gaya hun

    ki mujh se aap to bekar mein uljhe hue hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now