jahan se aage bhi hoga kahin koi manzar
jahāñ se aage bhī hogā kahīñ koī manzar
hameñ dikhāyā gayā hai bas ek hī manzar
phir us ke baa'd hameñ kuchh nazar nahīñ aaya
tumhāre 'aks ne dhuñdlā diye sabhī manzar
nadī pe aa ke huī hai shadīd māyūsī
maiñ sochtā thā milegā mujhe vahī manzar
koī nigāh na kar de tujhe bhī ālūda
ki kā.enāt kā hai tū bas āḳhirī manzar
magar vo baat kahāñ ab jo thī tire hote
nazar to ā.eñge sab ko yahāñ ka.ī manzar
ye naav jhiil kināra sabhī pareshāñ haiñ
pasand kar liyā us ne nayā koī manzar
jahan se aage bhi hoga kahin koi manzar
hamein dikhaya gaya hai bas ek hi manzar
phir us ke ba'd hamein kuchh nazar nahin aaya
tumhaare 'aks ne dhundla diye sabhi manzar
nadi pe aa ke hui hai shadid mayusi
main sochta tha milega mujhe wahi manzar
koi nigah na kar de tujhe bhi aaluda
ki kaenat ka hai tu bas aaKHiri manzar
magar wo baat kahan ab jo thi tere hote
nazar to aaenge sab ko yahan kai manzar
ye naw jhil kinara sabhi pareshan hain
pasand kar liya us ne naya koi manzar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.