jahan tum jalwa-farma the wahan parda-nashin main tha
jahāñ tum jalva-farmā the vahāñ parda-nashīñ maiñ thā
mujhe dekhā nahīñ tum ne vahīñ tum the vahīñ maiñ thā
mohabbat kār-farmā jab huī to mil ga.e varna
mohabbat jab na thī tum se kahīñ tum the kahīñ maiñ thā
vo āḳhir kaun thā muusā se pahle dekhne vaalā
azal meñ tum hue the jalva-gar to jalva-bīñ maiñ thā
jahān-e-āb-o-gil meñ merī rif'at pūchhne vaale
ye kal kī baat hai kal sākin-e-ḳhuld-e-barīñ maiñ thā
maiñ ġhamnāk-e-azal rotā huā aayā thā duniyā meñ
ma.āl-e-zīst par apne 'rasā' andoh-gīñ maiñ thā
jahan tum jalwa-farma the wahan parda-nashin main tha
mujhe dekha nahin tum ne wahin tum the wahin main tha
mohabbat kar-farma jab hui to mil gae warna
mohabbat jab na thi tum se kahin tum the kahin main tha
wo aaKHir kaun tha musa se pahle dekhne wala
azal mein tum hue the jalwa-gar to jalwa-bin main tha
jahan-e-ab-o-gil mein meri rif'at puchhne wale
ye kal ki baat hai kal sakin-e-KHuld-e-barin main tha
main ghamnak-e-azal rota hua aaya tha duniya mein
maal-e-zist par apne 'rasa' andoh-gin main tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.