jahan tu hai wahan par har KHushi hai
jahāñ tū hai vahāñ par har ḳhushī hai
mirī jaañ tū bahār-e-zindagī hai
na jaane kyoñ mujhe bhī lag rahā hai
mohabbat se baḌī shai dostī hai
baras kar ḳhushk tū to ho chukā hai
mire lab par abhī tak tishnagī hai
tirī tasvīr ko maiñ dekhtā huuñ
tirī tasvīr mujh ko dekhtī hai
abhī hāthoñ ko mere chhoḌnā mat
zarā sī der kī bas tīrgī hai
mohabbat aap kī de kar ḳhudā ne
kamī paidā.eshī puurī karī hai
hamāre zaḳhm kā chāra nahīñ hai
hamāre paas keval shā.erī hai
jahan tu hai wahan par har KHushi hai
meri jaan tu bahaar-e-zindagi hai
na jaane kyon mujhe bhi lag raha hai
mohabbat se baDi shai dosti hai
baras kar KHushk tu to ho chuka hai
mere lab par abhi tak tishnagi hai
teri taswir ko main dekhta hun
teri taswir mujh ko dekhti hai
abhi hathon ko mere chhoDna mat
zara si der ki bas tirgi hai
mohabbat aap ki de kar KHuda ne
kami paidaeshi puri kari hai
hamare zaKHm ka chaara nahin hai
hamare pas kewal shaeri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.