jahan un ko un ke ishaaron ko dekha
jahāñ un ko un ke ishāroñ ko dekhā
vahīñ dil kī sāzish ke māroñ ko dekhā
maiñ kuchh be-tukī bāteñ bāteñ sunā duuñ
taḌapte hue ābshāroñ ko dekhā
sitāre bhī sone lage vo na aa.e
ḳhilāf-e-tamannā sahāroñ ko dekhā
bhañvar ke fasāne sunātā rahā huuñ
na sāhil ko dekhā na dhāroñ ko dekhā
jahāñ ḳhud ko dekhā ḳhizāñ hī ḳhizāñ hai
jahāñ un ko dekhā bahāroñ ko dekhā
kiyā ehtijāj is zamāne ne us kā
kisī dhun meñ jab be-qarāroñ ko dekhā
ye chhup-chhup ke yakjā piyeñ 'daur'-o-zāhid
kisī ne bhī in shāhkāroñ ko dekhā
jahan un ko un ke ishaaron ko dekha
wahin dil ki sazish ke maron ko dekha
main kuchh be-tuki baaten baaten suna dun
taDapte hue aabshaaron ko dekha
sitare bhi sone lage wo na aae
KHilaf-e-tamanna sahaaron ko dekha
bhanwar ke fasane sunata raha hun
na sahil ko dekha na dhaaron ko dekha
jahan KHud ko dekha KHizan hi KHizan hai
jahan un ko dekha bahaaron ko dekha
kiya ehtijaj is zamane ne us ka
kisi dhun mein jab be-qararon ko dekha
ye chhup-chhup ke yakja piyen 'daur'-o-zahid
kisi ne bhi in shahkaron ko dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.