jahan unchi imarat hai wahin miTTi ka bhi ghar hai
jahāñ ūñchī imārat hai vahīñ miTTī kā bhī ghar hai
ye qabristān ko dekho zarā kitnā barābar hai
samundar kī ḳhamoshī bhī to ik din TuuT jaatī hai
magar kaise bhalā TuuTe jo tere in laboñ par hai
bahut taḌpā rahe ho baap ko raste meñ tum lekin
usī raste meñ hai beTā ajab kaisā ye chakkar hai
haqīqat zindagī kī khul ga.ī mujh par ki duniyā meñ
zamīñ par sañg hai hiirā magar miTTī ke andar hai
ye kaisā zaḳhm hai ab tak harā hai kyoñ nahīñ bhartā
yahāñ marham nahīñ hai vaqt ke hāthoñ meñ ḳhanjar hai
bahut parde haiñ is kambaḳht ke kirdār par 'fā.ez'
ki chāñdī kī koī pannī kisī patthar ke uupar hai
jahan unchi imarat hai wahin miTTi ka bhi ghar hai
ye qabristan ko dekho zara kitna barabar hai
samundar ki KHamoshi bhi to ek din TuT jati hai
magar kaise bhala TuTe jo tere in labon par hai
bahut taDpa rahe ho bap ko raste mein tum lekin
usi raste mein hai beTa ajab kaisa ye chakkar hai
haqiqat zindagi ki khul gai mujh par ki duniya mein
zamin par sang hai hira magar miTTi ke andar hai
ye kaisa zaKHm hai ab tak hara hai kyon nahin bharta
yahan marham nahin hai waqt ke hathon mein KHanjar hai
bahut parde hain is kambaKHt ke kirdar par 'faez'
ki chandi ki koi panni kisi patthar ke upar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.