jahan zamin ka TukDa makan Thahrega
jahāñ zamīn kā TukḌā makān Thahregā
vahīñ to qāfila-e-jism-o-jān Thahregā
jo sar ḳhamīda ho gardan usī kī jā.egī
jo sar uThā.e vahī hukmrān Thahregā
maiñ chup rahūñ bhī to ilzām aa.egā mujh par
vo sab kahegā magar be-zabān Thahregā
nishāna ek hai aur saath saath chaltā hai
yahī to rishta-e-tīr-o-kamān Thahregā
buland baañg kā lahja thī baat bhī sachchī
har ek lafz mirā ab azaan Thahregā
hamāre daur meñ bhī jī ke dekhiyo 'ġhālib'
zamīñ ke sāmne kyā āsmān Thahregā
jahan zamin ka TukDa makan Thahrega
wahin to qafila-e-jism-o-jaan Thahrega
jo sar KHamida ho gardan usi ki jaegi
jo sar uThae wahi hukmran Thahrega
main chup rahun bhi to ilzam aaega mujh par
wo sab kahega magar be-zaban Thahrega
nishana ek hai aur sath sath chalta hai
yahi to rishta-e-tir-o-kaman Thahrega
buland bang ka lahja thi baat bhi sachchi
har ek lafz mera ab azan Thahrega
hamare daur mein bhi ji ke dekhiyo 'ghaalib'
zamin ke samne kya aasman Thahrega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.