jaisa bhi ho achchha ya bura kaT rahe hain
jaisā bhī ho achchhā yā burā kaaT rahe haiñ
ham log muqaddar kā likhā kaaT rahe haiñ
kuchh ma.anī to rakhte nahīñ is daur meñ rishte
beTe hī yahāñ maañ kā galā kaaT rahe haiñ
ḳhushbū kā parastār unheñ kaise kaheñ ham
phūloñ se ladī hai jo latā kaaT rahe haiñ
us ko ye gumāñ hai ki ye ta.avīz añgūThī
ye ToTke hī us kī balā kaaT rahe haiñ
'agyāt' ye jo sant haiñ surgeon se nahīñ kam
updesh kī qaiñchī se anā kaaT rahe haiñ
jaisa bhi ho achchha ya bura kaT rahe hain
hum log muqaddar ka likha kaT rahe hain
kuchh mani to rakhte nahin is daur mein rishte
beTe hi yahan man ka gala kaT rahe hain
KHushbu ka parastar unhen kaise kahen hum
phulon se ladi hai jo lata kaT rahe hain
us ko ye guman hai ki ye tawiz anguThi
ye ToTke hi us ki bala kaT rahe hain
'agyat' ye jo sant hain surgeon se nahin kam
updesh ki qainchi se ana kaT rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.