jaisa dikhta hun agar waisa nahin
jaisā dikhtā huuñ agar vaisā nahīñ
maiñ bhī koī aadmī achchhā nahīñ
aag siine se uThī to ye khulā
raushnī ke tan pe bhī kurtā nahīñ
vaqt kī gardan pe paañv thā mirā
aadmī se bā-ḳhudā jhagḌā nahīñ
raaz rakkho yaar kā paanī bharo
ye ghaḌā kachchā to hai chiknā nahīñ
jhiil meñ bahne lagī hai chāñdnī
kaun kahtā hai yahāñ chashma nahīñ
ek hasrat sī bañdhī hai shāḳh se
lahlahāte phuul kā juuḌā nahīñ
chashm-e-tar ne ek din mujh se kahā
aañkh vo kaasa hai jo bhartā nahīñ
ham mohabbat saath rakhte haiñ 'adīm'
aur yahī sikka yahāñ chaltā nahīñ
jaisa dikhta hun agar waisa nahin
main bhi koi aadmi achchha nahin
aag sine se uThi to ye khula
raushni ke tan pe bhi kurta nahin
waqt ki gardan pe panw tha mera
aadmi se ba-KHuda jhagDa nahin
raaz rakkho yar ka pani bharo
ye ghaDa kachcha to hai chikna nahin
jhil mein bahne lagi hai chandni
kaun kahta hai yahan chashma nahin
ek hasrat si bandhi hai shaKH se
lahlahate phul ka juDa nahin
chashm-e-tar ne ek din mujh se kaha
aankh wo kasa hai jo bharta nahin
hum mohabbat sath rakhte hain 'adim'
aur yahi sikka yahan chalta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.