jaise bhi hain rishte-nate rahne do
jaise bhī haiñ rishte-nāte rahne do
mat khīñcho ye kachche dhāge rahne do
mujh ko pāgal tanhā karnā Thiik nahīñ
aag pīchhe do hamsā.e rahne do
sapne to sapne haiñ lekin pyāre haiñ
apnā asāsa pyāre sapne rahne do
merā nasheman phūñkne vaalo baat suno
yaad kī ḳhātir thoḌe tinke rahne do
ḳhūn-e-jigar ke rang bhare the phūloñ meñ
rang churāne vaalo patte rahne do
sho.ala badan par barf girā dī be-mausam
jalte-bujhte do angāre rahne do
ḳhuun pasīne se jo kamāyā terā hai
merī ḳhātir sirf pasīne rahne do
apnā gulshan chhūT gayā so chhūT gayā
biite kal ke kuchh to ujāle rahne do
kaalā sūraj kaale din hī lā.egā
dost tum apne rangīñ jalve rahne do
jaise bhi hain rishte-nate rahne do
mat khincho ye kachche dhage rahne do
mujh ko pagal tanha karna Thik nahin
aag pichhe do hamsae rahne do
sapne to sapne hain lekin pyare hain
apna asasa pyare sapne rahne do
mera nasheman phunkne walo baat suno
yaad ki KHatir thoDe tinke rahne do
KHun-e-jigar ke rang bhare the phulon mein
rang churane walo patte rahne do
shoala badan par barf gira di be-mausam
jalte-bujhte do angare rahne do
KHun pasine se jo kamaya tera hai
meri KHatir sirf pasine rahne do
apna gulshan chhuT gaya so chhuT gaya
bite kal ke kuchh to ujale rahne do
kala suraj kale din hi laega
dost tum apne rangin jalwe rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.