jaise bhi jis tarah bhi basar kar rahe hain log
jaise bhi jis tarah bhi basar kar rahe hain log
Jameel Ahmad Khan Jameel
MORE BYJameel Ahmad Khan Jameel
jaise bhī jis tarah bhī basar kar rahe haiñ log
din puure zindagī ke magar kar rahe haiñ log
kuchh bhī nahīñ nigāh jidhar kar rahe haiñ log
rusvā fuzūl zauq-e-nazar kar rahe haiñ log
tāroñ ko naqsh-e-pā-e-bashar kar rahe haiñ log
kyā ma.arka hayāt kā sar kar rahe haiñ log
shaitāniyat uruuj pe hai baat saaf hai
insāniyat kā ḳhuun agar kar rahe haiñ log
mahloñ hī meñ basar nahīñ hotī ye zindagī
fōtpath par bhī apnī basar kar rahe haiñ log
ek rab ke dar pe sajde kī fursat nahīñ 'jamīl'
sajde hazāroñ dar pe magar kar rahe haiñ log
jaise bhi jis tarah bhi basar kar rahe hain log
din pure zindagi ke magar kar rahe hain log
kuchh bhi nahin nigah jidhar kar rahe hain log
ruswa fuzul zauq-e-nazar kar rahe hain log
taron ko naqsh-e-pa-e-bashar kar rahe hain log
kya marka hayat ka sar kar rahe hain log
shaitaniyat uruj pe hai baat saf hai
insaniyat ka KHun agar kar rahe hain log
mahlon hi mein basar nahin hoti ye zindagi
footpath par bhi apni basar kar rahe hain log
ek rab ke dar pe sajde ki fursat nahin 'jamil'
sajde hazaron dar pe magar kar rahe hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.