jaise chaman mein ho khila pahla gulab
jaise chaman meñ ho khilā pahlā gulāb
āñkheñ kañval juuhī se lab lahja gulāb
bosa jabīñ kā de gayā ehsās ye
hāthoñ meñ le ke jaise ho chūmā gulāb
maa.il na karte qīmtī tohfe mujhe
dil jītnā hai jo merā to lā gulāb
gustāḳh dil thā āñkhoñ kī thī kyā ḳhatā
thā hukm dil kā hāthoñ ne toḌā gulāb
hai aaj bhī jo shai mire dil ke qarīb
kuchh ḳhat tumhāre aur ik sūkhā gulāb
pūchhī kisī ne aaj phir merī pasand
be-sāḳhta lab se mirī niklā gulāb
jaise chaman mein ho khila pahla gulab
aankhen kanwal juhi se lab lahja gulab
bosa jabin ka de gaya ehsas ye
hathon mein le ke jaise ho chuma gulab
mail na karte qimti tohfe mujhe
dil jitna hai jo mera to la gulab
gustaKH dil tha aankhon ki thi kya KHata
tha hukm dil ka hathon ne toDa gulab
hai aaj bhi jo shai mere dil ke qarib
kuchh KHat tumhaare aur ek sukha gulab
puchhi kisi ne aaj phir meri pasand
be-saKHta lab se meri nikla gulab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.