jaise dariya mein guhar bolta hai
jaise dariyā meñ guhar boltā hai
saat pardoñ meñ hunar boltā hai
terī ḳhāmoshī se dahshat hai ayaañ
terī āvāz meñ Dar boltā hai
jaag auroñ ko jagāne ke liye
bol jis tarah gajar boltā hai
dil kī dhaḌkan se laraztā hai badan
apnī vahshat meñ khañDar boltā hai
ye vahī sā.at-e-bedārī hai
jab duāoñ meñ asar boltā hai
ho gayā rañg-e-suḳhan se zāhir
sher meñ ḳhūn-e-jigar boltā hai
jaise dariya mein guhar bolta hai
sat pardon mein hunar bolta hai
teri KHamoshi se dahshat hai ayan
teri aawaz mein Dar bolta hai
jag auron ko jagane ke liye
bol jis tarah gajar bolta hai
dil ki dhaDkan se larazta hai badan
apni wahshat mein khanDar bolta hai
ye wahi saat-e-bedari hai
jab duaon mein asar bolta hai
ho gaya rang-e-suKHan se zahir
sher mein KHun-e-jigar bolta hai
- Book : Kaf-e-gulfarosh (Pg. 51)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.