jaise har shai hui tabdil buri lagti hai
jaise har shai huī tabdīl burī lagtī hai
tū nahīñ saath to ye jhiil burī lagtī hai
jab bhī dīvār pe paḌtī haiñ nigāheñ merī
terī tasvīr ke bin kiil burī lagtī hai
chāñd meñ daaġh haiñ be-dāġh hai terā chehra
chāñd se bhī tirī tamsīl burī lagtī hai
pyaar karte hoñ koī aur koī jaltā rahe
vasl kī raat meñ qindīl burī lagtī hai
she'r kā husn baḌhā detī hai āzād radīf
qāfiye meñ jo ho tahlīl burī lagtī hai
jo bhī kahnā hai adab aur salīqe se kaho
baat koī kare ashlīl burī lagtī hai
muḳhtasar baat jab aa jaa.e samajh ham ko 'anīs'
be-zarūrat bhī to tafsīl burī lagtī hai
jaise har shai hui tabdil buri lagti hai
tu nahin sath to ye jhil buri lagti hai
jab bhi diwar pe paDti hain nigahen meri
teri taswir ke bin kil buri lagti hai
chand mein dagh hain be-dagh hai tera chehra
chand se bhi teri tamsil buri lagti hai
pyar karte hon koi aur koi jalta rahe
wasl ki raat mein qindil buri lagti hai
she'r ka husn baDha deti hai aazad radif
qafiye mein jo ho tahlil buri lagti hai
jo bhi kahna hai adab aur saliqe se kaho
baat koi kare ashlil buri lagti hai
muKHtasar baat jab aa jae samajh hum ko 'anis'
be-zarurat bhi to tafsil buri lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.