jaise is basti se naraaz KHuda lagta hai
jaise is bastī se nārāz ḳhudā lagtā hai
apnā hī gaañv mujhe aaj burā lagtā hai
chāñd kī sat.h pe patthar ke sivā kuchh bhī nahīñ
duur se dekho to har chehra bhalā lagtā hai
chand bātoñ se samajh lete haiñ ham insāñ ko
chand maujoñ se hī tūfāñ kā patā lagtā hai
dekhne vaalī nigāhoñ se jo dekho us ko
chāñdnī raat meñ sūraj kī hayā lagtā hai
ek hī shaḳhs kā har vaqt tasavvur 'dānish'
us se kyā rishta hai kyā naata hai kyā lagtā hai
jaise is basti se naraaz KHuda lagta hai
apna hi ganw mujhe aaj bura lagta hai
chand ki sath pe patthar ke siwa kuchh bhi nahin
dur se dekho to har chehra bhala lagta hai
chand baaton se samajh lete hain hum insan ko
chand maujon se hi tufan ka pata lagta hai
dekhne wali nigahon se jo dekho us ko
chandni raat mein suraj ki haya lagta hai
ek hi shaKHs ka har waqt tasawwur 'danish'
us se kya rishta hai kya nata hai kya lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.