Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaise jaise KHud-nawisht-e-dostan paDhte gae

Manzar Shahab

jaise jaise KHud-nawisht-e-dostan paDhte gae

Manzar Shahab

MORE BYManzar Shahab

    jaise jaise ḳhud-navisht-e-dostāñ paḌhte ga.e

    dushmanoñ ke baab meñ kuchh-kuchh varaq jhūTe lage

    ḳhush-yaqīñ huuñ mere andar koī hai mahv-e-kalām

    maiñ faqat do hoñT huuñ jo bhī kahe vo kahe

    kyā bharosa pattharoñ meñ Duub jaa.e ābshār

    saañs meñ jhakkaḌ chale kab jism tuuda Dhahe

    regzār-e-sharq meñ ab juue ḳhuuñ hai tez-gām

    vo abābīleñ kahāñ haiñ jin se sail-e-ġham thame

    halkī-halkī bārishoñ jhālroñ oT meñ

    surmagīñ kohsār ke kāfir nazāre kyā hue

    kaun rishta hamāre dil ko chhūtā lagā

    ye samajhnā thā na mushkil garche ham anjān the

    ahd-e-ādam se rahe haiñ dushman-e-īmāñ 'shahāb'

    pur-kashish ruḳhsār do aur nain do jaadū bhare

    jaise jaise KHud-nawisht-e-dostan paDhte gae

    dushmanon ke bab mein kuchh-kuchh waraq jhuTe lage

    KHush-yaqin hun mere andar koi hai mahw-e-kalam

    main faqat do honT hun jo bhi kahe wo hi kahe

    kya bharosa pattharon mein Dub jae aabshaar

    sans mein jhakkaD chale kab jism ka tuda Dhahe

    regzar-e-sharq mein ab jue KHun hai tez-gam

    wo ababilen kahan hain jin se sail-e-gham thame

    halki-halki barishon ki jhaalron ki oT mein

    surmagin kohsar ke kafir nazare kya hue

    kaun sa rishta hamare dil ko chhuta sa laga

    ye samajhna tha na mushkil garche hum anjaan the

    ahd-e-adam se rahe hain dushman-e-iman 'shahab'

    pur-kashish ruKHsar do aur nain do jadu bhare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now