jaise jaise maut ki manzil qarib aane lagi
jaise jaise maut kī manzil qarīb aane lagī
zindagī apne safar par ḳhud hī pachhtāne lagī
sochtā huuñ jism se bāhar nikal jā.ūñ abhī
ab tabī'at ghar meñ baiThe baiThe ghabrāne lagī
vo añdhere ke muqābil der tak Thahregā kyā
jis diye kī lau havā se pahle tharrāne lagī
'ishq aksar aisī manzil par mujhe laayā jahāñ
'aql ko dil aur dil ko 'aql samjhāne lagī
kuchh mohabbat kuchh nazākat kuchh sharārat kuchh hayā
jab bulāyā paas ham ne duur vo jaane lagī
zindagī kā hāfiza 'rāhib' yaqīnan tang hai
bhuul kar kal ke dukhoñ ko aaj muskāne lagī
jaise jaise maut ki manzil qarib aane lagi
zindagi apne safar par KHud hi pachhtane lagi
sochta hun jism se bahar nikal jaun abhi
ab tabi'at ghar mein baiThe baiThe ghabrane lagi
wo andhere ke muqabil der tak Thahrega kya
jis diye ki lau hawa se pahle tharrane lagi
'ishq aksar aisi manzil par mujhe laya jahan
'aql ko dil aur dil ko 'aql samjhane lagi
kuchh mohabbat kuchh nazakat kuchh shararat kuchh haya
jab bulaya pas hum ne dur wo jaane lagi
zindagi ka hafiza 'rahib' yaqinan tang hai
bhul kar kal ke dukhon ko aaj muskane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.