jaise masli hui si chadar ke
jaise maslī huī sī chādar ke
shal nikalte nahīñ muqaddar ke
kab vo maidān-e-jang aa.egā
paañv dukhne lage haiñ lashkar ke
Duub kar dekhiye un āñkhoñ meñ
raaz khul jā.eñge samundar ke
pattharoñ kā nasīb chamkegā
muntazir haiñ hamārī Thokar ke
koī merī tarah chhue to sahī
aap bilkul nahīñ haiñ patthar ke
jaise masli hui si chadar ke
shal nikalte nahin muqaddar ke
kab wo maidan-e-jang aaega
panw dukhne lage hain lashkar ke
Dub kar dekhiye un aankhon mein
raaz khul jaenge samundar ke
pattharon ka nasib chamkega
muntazir hain hamari Thokar ke
koi meri tarah chhue to sahi
aap bilkul nahin hain patthar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.