jaise nae zamane ki raftar gir paDi
jaise na.e zamāne kī raftār gir paḌī
aise purāne vaqt kī dīvār gir paḌī
uTh uTh ke aa to pahuñchī haiñ lahreñ idhar magar
kyā chiiz jaane dariyā ke us paar gir paḌī
is baar kyā girī hai ki kohrām mach gayā
pagḌī to is se pahle ka.ī baar gir paḌī
lafzoñ ko ham ne tol ke rakkhā thā hoñT par
phir kyuuñ bahas meñ baat vazan daar gir paḌī
bāzār meñ to fan ke ḳharīdār ab bhī haiñ
kis ne kahā ki qīmat-e-fankār gir paḌī
din thā thakan se chuur ufuq pe niDhāl saal
sūraj ke saath shaam bhī lāchār gir paḌī
dekhā muḳhālifoñ meñ jo shāmil rafīq ko
'parvez' apne haath se talvār gir paḌī
jaise nae zamane ki raftar gir paDi
aise purane waqt ki diwar gir paDi
uTh uTh ke aa to pahunchi hain lahren idhar magar
kya chiz jaane dariya ke us par gir paDi
is bar kya giri hai ki kohram mach gaya
pagDi to is se pahle kai bar gir paDi
lafzon ko hum ne tol ke rakkha tha honT par
phir kyun bahas mein baat wazan dar gir paDi
bazar mein to fan ke KHaridar ab bhi hain
kis ne kaha ki qimat-e-fankar gir paDi
din tha thakan se chur ufuq pe niDhaal sal
suraj ke sath sham bhi lachaar gir paDi
dekha muKHalifon mein jo shamil rafiq ko
'parwez' apne hath se talwar gir paDi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.