jaise suraj dikhlai de jangal mein gum hota sa
jaise sūraj dikhlā.ī de jangal meñ gum hotā sā
ek parinda uḌtā jaa.e bādal meñ gum hotā sā
sho'bada-bāzī thī kirnoñ kī yā nazroñ kā dhokā thā
pīpal ke saa.e ko dekhā pīpal meñ gum hotā sā
phir sūraj kā bachpan dekheñ chiḌiyoñ kī chahkār suneñ
tanhā.ī ke jinn ko dekheñ botal meñ gum hotā sā
andar andar sannāTā hai lekin saarā sannāTā
bāhar kī raunaq meñ Duubī halchal meñ gum hotā sā
ik lamhe kī ek zarā sī bhuul kā ḳhamyāza Thahrā
ek sadī kā lambā 'arsa ik pal meñ gum hotā sā
apnī saarī shoḳh-nigārī palkoñ meñ gum hotī sī
us kī āñkhoñ kā sab jaadū kājal meñ gum hotā sā
khel nahīñ duniyā ko baratnā jab jab jatan kiyā 'shādāb'
ham ne apne aap ko paayā daldal meñ gum hotā sā
jaise suraj dikhlai de jangal mein gum hota sa
ek parinda uDta jae baadal mein gum hota sa
sho'bada-bazi thi kirnon ki ya nazron ka dhoka tha
pipal ke sae ko dekha pipal mein gum hota sa
phir suraj ka bachpan dekhen chiDiyon ki chahkar sunen
tanhai ke jinn ko dekhen botal mein gum hota sa
andar andar sannaTa hai lekin sara sannaTa
bahar ki raunaq mein Dubi halchal mein gum hota sa
ek lamhe ki ek zara si bhul ka KHamyaza Thahra
ek sadi ka lamba 'arsa ek pal mein gum hota sa
apni sari shoKH-nigari palkon mein gum hoti si
us ki aankhon ka sab jadu kajal mein gum hota sa
khel nahin duniya ko baratna jab jab jatan kiya 'shadab'
hum ne apne aap ko paya daldal mein gum hota sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.