jaise suraj ki aankh bhi nam hai
jaise sūraj kī aañkh bhī nam hai
aaj kitnā udaas mausam hai
ab to maiñ dushmanoñ kī zad meñ huuñ
ab mujhe dostoñ kā kyā ġham hai
bujh chukī haiñ shu.ūr kī kirneñ
vāqa.ī aaj raushnī kam hai
dil kisī kaam meñ nahīñ lagtā
be-dilī kā ajiib aalam hai
jitne chehre haiñ saare jhūTe haiñ
jo bhī tasvīr hai vo mub.ham hai
shahr ābād ho rahe haiñ 'nazīr'
gaañv meñ hijratoñ kā mausam hai
jaise suraj ki aankh bhi nam hai
aaj kitna udas mausam hai
ab to main dushmanon ki zad mein hun
ab mujhe doston ka kya gham hai
bujh chuki hain shuur ki kirnen
waqai aaj raushni kam hai
dil kisi kaam mein nahin lagta
be-dili ka ajib aalam hai
jitne chehre hain sare jhuTe hain
jo bhi taswir hai wo mubham hai
shahr aabaad ho rahe hain 'nazir'
ganw mein hijraton ka mausam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.