jaise yaad-e-imbisat-o-gham shakebai ke baad
jaise yād-e-imbisāt-o-ġham shakebā.ī ke baad
der tak rote rahe ham bazm-ārā.ī ke baad
ai sarisht-e-shauq ab nāpaid ho kar dekh le
aur kyā honā hai is hone kī rusvā.ī ke baad
is qadar saffāk kab thī vaqt kī be-manzarī
kor-chashmī se bhī baḌh kar dukh haiñ bīnā.ī ke baad
ḳhud ko pā lene kī hasrat meñ bahut rusvā hue
kuchh sivā rusvā.iyāñ haiñ ab shanāsā.ī ke baad
be-masāfat ik safar dar-pesh rahnā chāhiye
sochte haiñ umr bhar kī jāda-paimā.ī ke baad
kal maiñ ḳhud se silsila-dar-silsila miltā rahā
ālam-e-tanhā.ī jaise dasht-e-tanhā.ī ke baad
hai vahī sahrā magar shādāb kitnā ho gayā
rah-navardān-e-junūñ kī ābla-pā.ī ke baad
dil meñ ab pahlī sī vo gunjā.isheñ baaqī nahīñ
pahle ik dālān aa jaanā thā añgnā.ī ke baad
jaise yaad-e-imbisat-o-gham shakebai ke baad
der tak rote rahe hum bazm-arai ke baad
ai sarisht-e-shauq ab napaid ho kar dekh le
aur kya hona hai is hone ki ruswai ke baad
is qadar saffak kab thi waqt ki be-manzari
kor-chashmi se bhi baDh kar dukh hain binai ke baad
KHud ko pa lene ki hasrat mein bahut ruswa hue
kuchh siwa ruswaiyan hain ab shanasai ke baad
be-masafat ek safar dar-pesh rahna chahiye
sochte hain umr bhar ki jada-paimai ke baad
kal main KHud se silsila-dar-silsila milta raha
aalam-e-tanhai jaise dasht-e-tanhai ke baad
hai wahi sahra magar shadab kitna ho gaya
rah-nawardan-e-junun ki aabla-pai ke baad
dil mein ab pahli si wo gunjaishen baqi nahin
pahle ek dalan aa jaana tha angnai ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.