jal kar un aankhon mein aansu jab kajal ban jate hain
jal kar un aankhon mein aansu jab kajal ban jate hain
Saeeduzzamaan Abbasi
MORE BYSaeeduzzamaan Abbasi
jal kar un āñkhoñ meñ aañsū jab kājal ban jaate haiñ
dil se uTh kar reg bagūle dal bādal ban jaate haiñ
koī sachchī baat zabāñ par jab bhī kabhī aa jaatī hai
vo sahrā ho yā gulshan ho sab maqtal ban jaate haiñ
jab bhī zehn meñ jaag uThtī hai in hoñToñ kī shīrīnī
kaise kaise talḳh masā.il jaan ġhazal ban jaate haiñ
us se ziyāda kyā hogā arbāb-e-mohabbat kā iz.hār
vo bekal ho jaate haiñ to sab bekal ban jaate haiñ
ham ne sadiyoñ kī dīvāroñ meñ jo raḳhne Daale the
un se guzarne vaale lamhe tāj-mahal ban jaate haiñ
jal kar un aankhon mein aansu jab kajal ban jate hain
dil se uTh kar reg bagule dal baadal ban jate hain
koi sachchi baat zaban par jab bhi kabhi aa jati hai
wo sahra ho ya gulshan ho sab maqtal ban jate hain
jab bhi zehn mein jag uThti hai in honTon ki shirini
kaise kaise talKH masail jaan ghazal ban jate hain
us se ziyaada kya hoga arbab-e-mohabbat ka izhaar
wo bekal ho jate hain to sab bekal ban jate hain
hum ne sadiyon ki diwaron mein jo raKHne Dale the
un se guzarne wale lamhe taj-mahal ban jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.