jal raha tha dil charagh-e-arzu KHamosh tha
jal rahā thā dil charāġh-e-ārzū ḳhāmosh thā
ham the vaqf-e-hasrat-e-dīdār vo rū-posh thā
mere nāloñ ne to mahshar aaj hī barpā kiyā
husn to roz-e-azal se hashr dar āġhosh thā
ham javāñ ho kar agar mad.hosh haiñ to kyā ajab
marne jiine kā laḌakpan meñ hameñ kab hosh thā
kaise kaise gul khilā.e ek musht-e-ḳhāk ne
merī barbādī meñ poshīda numū kā josh thā
uff shab-e-furqat kī haibatnāk tārīkī 'hayāt'
maiñ misāl-e-sham.a jaltā thā magar ḳhāmosh thā
jal raha tha dil charagh-e-arzu KHamosh tha
hum the waqf-e-hasrat-e-didar wo ru-posh tha
mere nalon ne to mahshar aaj hi barpa kiya
husn to roz-e-azal se hashr dar aaghosh tha
hum jawan ho kar agar madhosh hain to kya ajab
marne jine ka laDakpan mein hamein kab hosh tha
kaise kaise gul khilae ek musht-e-KHak ne
meri barbaadi mein poshida numu ka josh tha
uff shab-e-furqat ki haibatnak tariki 'hayat'
main misal-e-shama jalta tha magar KHamosh tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.