jal rahi hain KHwahishon ki bastiyan
jal rahī haiñ ḳhvāhishoñ kī bastiyāñ
muhr lab par paañv meñ haiñ beḌiyāñ
DhūñDne jaa.eñ kahāñ āsūdgī
bujh chukī haiñ rāstoñ kī battiyāñ
gum huī ghar se masarrat kī fazā
bojh bantī jā rahī haiñ beTiyāñ
mujh ko tum tanhā na samjho shahr meñ
saath phirtī haiñ mirī nākāmiyāñ
ajnabī apne hī ghar meñ ho gayā
had se aage baḌh ga.iiñ mahrūmiyāñ
sāhib-e-fan ho ga.e zardār sab
rah ga.iiñ muflis ke fan meñ ḳhāmiyāñ
sard mausam hai havā lag jā.egī
khol kar 'ḳhālid' na baiTho khiḌkiyāñ
jal rahi hain KHwahishon ki bastiyan
muhr lab par panw mein hain beDiyan
DhunDne jaen kahan aasudgi
bujh chuki hain raston ki battiyan
gum hui ghar se masarrat ki faza
bojh banti ja rahi hain beTiyan
mujh ko tum tanha na samjho shahr mein
sath phirti hain meri nakaamiyan
ajnabi apne hi ghar mein ho gaya
had se aage baDh gain mahrumiyan
sahib-e-fan ho gae zardar sab
rah gain muflis ke fan mein KHamiyan
sard mausam hai hawa lag jaegi
khol kar 'KHalid' na baiTho khiDkiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.