jal uTha dagh-e-tamanna ka diya sham Dhale
jal uThā dāġh-e-tamannā kā diyā shaam Dhale
aur ehsās-e-alam tez huā shaam Dhale
laa.e paiġhām tirā mauj-e-havā shaam Dhale
aks āñkhoñ meñ utar aa.e tirā shaam Dhale
jāgtī āñkhoñ meñ phir jaate haiñ kyā kyā manzar
jab saraktī hai ḳhayāloñ kī ridā shaam Dhale
dastakeñ detī hai ehsās ke darvāze par
ek anjān sī be-nām sadā shaam Dhale
phir dabe paañv chalī aa.ī kisī kī ḳhushbū
phir mahakne lagī kamre kī fazā shaam Dhale
ho na ye us ke taġhāful kā kahīñ radd-e-amal
jāgne lagtī hai kyoñ merī anā shaam Dhale
narm maḳhmal ke bichhaune bhī na de paa.e 'nasīm'
god meñ maañ kī jo aatā thā maza shaam Dhale
jal uTha dagh-e-tamanna ka diya sham Dhale
aur ehsas-e-alam tez hua sham Dhale
lae paigham tera mauj-e-hawa sham Dhale
aks aankhon mein utar aae tera sham Dhale
jagti aankhon mein phir jate hain kya kya manzar
jab sarakti hai KHayalon ki rida sham Dhale
dastaken deti hai ehsas ke darwaze par
ek anjaan si be-nam sada sham Dhale
phir dabe panw chali aai kisi ki KHushbu
phir mahakne lagi kamre ki faza sham Dhale
ho na ye us ke taghaful ka kahin radd-e-amal
jagne lagti hai kyon meri ana sham Dhale
narm maKHmal ke bichhaune bhi na de pae 'nasim'
god mein man ki jo aata tha maza sham Dhale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.