jala jala ke diye pas pas rakhte hain
jalā jalā ke diye paas paas rakhte haiñ
ham apne aap ko aksar udaas rakhte haiñ
guloñ kā rañg phaloñ kī miThās rakhte haiñ
kuchh aadmī bhī shajar kā libās rakhte haiñ
unheñ bhī ḳhālī gilāsoñ kā TūTnā hai pasand
zarūr vo bhī koī zaḳhm-e-yās rakhte haiñ
jo log nek the shabnam se ho ga.e sairāb
vo kyā kareñ jo samundar kī pyaas rakhte haiñ
sukūt-e-āb pe kankar uchhāl kar ḳhush the
ab aaj paanī pe ghar kī asaas rakhte haiñ
jinhoñ ne abr ke saa.e kabhī nahīñ dekhe
vo regzār bhī phūloñ kī aas rakhte haiñ
havas kī naav badan ke bhañvar meñ Duub ga.ī
ham aise aur ka.ī iqtibās rakhte haiñ
jala jala ke diye pas pas rakhte hain
hum apne aap ko aksar udas rakhte hain
gulon ka rang phalon ki miThas rakhte hain
kuchh aadmi bhi shajar ka libas rakhte hain
unhen bhi KHali gilason ka TuTna hai pasand
zarur wo bhi koi zaKHm-e-yas rakhte hain
jo log nek the shabnam se ho gae sairab
wo kya karen jo samundar ki pyas rakhte hain
sukut-e-ab pe kankar uchhaal kar KHush the
ab aaj pani pe ghar ki asas rakhte hain
jinhon ne abr ke sae kabhi nahin dekhe
wo regzar bhi phulon ki aas rakhte hain
hawas ki naw badan ke bhanwar mein Dub gai
hum aise aur kai iqtibas rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.