jala ke mujhko ajab moajiza dikhaya gaya
jalā ke mujh ko ajab mo.ajiza dikhāyā gayā
mirī hī raakh se paikar nayā banāyā gayā
mire hī tiir chalā.e ga.e mirī jānib
mire ḳhilāf mirā zor āzmāyā gayā
biThā ke pahle mujhe ik aziim mansab par
mire ḳhilāf ajab faisla sunāyā gayā
is āb-o-tāb ke pīchhe bhī ik kahānī hai
maiñ pahle sang thā phir aa.ina banāyā gayā
mujhe karā.ī ga.ī pahle ek shahr kī sair
phir us meñ mujh ko mirā asl ghar dikhāyā gayā
Dubo ke ḳhuun meñ bāñdhī ga.ī mujhe talvār
kis ehtimām se maiñ taḳht par biThāyā gayā
mujhe satā ke bhī kab ḳhush hue mire munkir
maiñ is pe ḳhush huuñ mirā sabr āzmāyā gayā
atā huī hai ajab tarah ḳhvājgī 'āsif'
tarāsh kar mire baazū alam thamāyā gayā
jala ke mujh ko ajab moajiza dikhaya gaya
meri hi rakh se paikar naya banaya gaya
mere hi tir chalae gae meri jaanib
mere KHilaf mera zor aazmaya gaya
biTha ke pahle mujhe ek azim mansab par
mere KHilaf ajab faisla sunaya gaya
is aab-o-tab ke pichhe bhi ek kahani hai
main pahle sang tha phir aaina banaya gaya
mujhe karai gai pahle ek shahr ki sair
phir us mein mujh ko mera asl ghar dikhaya gaya
Dubo ke KHun mein bandhi gai mujhe talwar
kis ehtimam se main taKHt par biThaya gaya
mujhe sata ke bhi kab KHush hue mere munkir
main is pe KHush hun mera sabr aazmaya gaya
ata hui hai ajab tarah KHwajgi 'asif'
tarash kar mere bazu alam thamaya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.