jalae jab shola-e-tahayyur to zehn DhunDhe panah kis ki
jalae jab shola-e-tahayyur to zehn DhunDhe panah kis ki
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
jalā.e jab sho'la-e-tahayyur to zehn DhūñDhe panāh kis kī
ye kis ke mā'nī hue haiñ sābit ye sūrateñ haiñ gavāh kis kī
ye chashm-e-lailā kahāñ se aa.ī ye qalb-e-mahzūñ kahāñ se ubhrā
jo bā-ḳhabar haiñ unheñ ḳhabar hai nigāh kis kī hai aah kis kī
jamāl-e-fitrat ke laakh partav qubūl-e-partav kī laakh shakleñ
tarīq-e-'irfāñ maiñ kyā batā.ūñ ye raah kis kī vo raah kis kī
ye kis ke 'ishvoñ kā sāmnā hai ki lazzat-e-hosh ho ga.ī gum
ḳhudī se kuchh ho chalā huuñ ġhāfil paḌī hai mujh par nigāh kis kī
jalae jab sho'la-e-tahayyur to zehn DhunDhe panah kis ki
ye kis ke ma'ni hue hain sabit ye suraten hain gawah kis ki
ye chashm-e-laila kahan se aai ye qalb-e-mahzun kahan se ubhra
jo ba-KHabar hain unhen KHabar hai nigah kis ki hai aah kis ki
jamal-e-fitrat ke lakh partaw qubul-e-partaw ki lakh shaklen
tariq-e-'irfan main kya bataun ye rah kis ki wo rah kis ki
ye kis ke 'ishwon ka samna hai ki lazzat-e-hosh ho gai gum
KHudi se kuchh ho chala hun ghafil paDi hai mujh par nigah kis ki
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 110)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.