jalai gai hawa magar uTha kahin dhuan nahin
jalā.ī ga.ī havā magar uThā kahīñ dhuāñ nahīñ
jo bach ga.e dayār meñ vo apne āshiyāñ nahīñ
lahū-lahū zamīn hai lahū-lahū hai āsmāñ
ye naqsh-e-pā-e-dil safar ke āḳhirī nishāñ nahīñ
kahāñ ga.e haiñ log sab qarār-o-qaul bhuul kar
talāsh meñ bhaTak rahe haiñ ham kahāñ kahāñ nahīñ
ḳhudā ḳhudā kā shor kyoñ uThā mire vajūd par
maiñ bhiiḌ meñ to huuñ magar kisī ke darmiyāñ nahīñ
har ek lahr ḳhāmushī se phir kināra kar ga.ī
vo mausamī nadī thī zindagī kā kārvāñ nahīñ
‘anāsir-e-davāñ pe hai ye kis nigāh kā fusūñ
maiñ qaid huuñ to huuñ magar qafas meñ tīliyāñ nahīñ
jalai gai hawa magar uTha kahin dhuan nahin
jo bach gae dayar mein wo apne aashiyan nahin
lahu-lahu zamin hai lahu-lahu hai aasman
ye naqsh-e-pa-e-dil safar ke aaKHiri nishan nahin
kahan gae hain log sab qarar-o-qaul bhul kar
talash mein bhaTak rahe hain hum kahan kahan nahin
KHuda KHuda ka shor kyon uTha mere wajud par
main bhiD mein to hun magar kisi ke darmiyan nahin
har ek lahr KHamushi se phir kinara kar gai
wo mausami nadi thi zindagi ka karwan nahin
‘anasir-e-dawan pe hai ye kis nigah ka fusun
main qaid hun to hun magar qafas mein tiliyan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.