jalane ke liye dil ko mere kuchh tiliyan rakh do
jalane ke liye dil ko mere kuchh tiliyan rakh do
Pradeep Tiwari Deep
MORE BYPradeep Tiwari Deep
jalāne ke liye dil ko mire kuchh tīliyāñ rakh do
dil-e-nāshād ke hisse meñ thoḌī siskiyāñ rakh do
abhī to ghar jale do chaar puurā gaañv baaqī hai
siyāsat vāloñ ke aage ye saarī bastiyāñ rakh do
safar lambā hai raahī kā abhī to duur hai manzil
bhaTakne ke liye rāhoñ meñ is ke titliyāñ rakh do
shikārī phañs gayā ḳhud hī yahāñ par jaal meñ apne
parindoñ ke zarā hisse meñ phir āzādiyāñ rakh do
virah kī vednā dil kī yahāñ par kaun suntā hai
bhulā kar ġham ko yādoñ kī kahīñ parchhā.īyāñ rakh do
baḌe nādān ho tum 'dīp' lahroñ se na lo pangā
Dubā degī tsunami dil kī apnī kashtiyāñ rakh do
jalane ke liye dil ko mere kuchh tiliyan rakh do
dil-e-nashad ke hisse mein thoDi siskiyan rakh do
abhi to ghar jale do chaar pura ganw baqi hai
siyasat walon ke aage ye sari bastiyan rakh do
safar lamba hai rahi ka abhi to dur hai manzil
bhaTakne ke liye rahon mein is ke titliyan rakh do
shikari phans gaya KHud hi yahan par jal mein apne
parindon ke zara hisse mein phir aazadiyan rakh do
wirah ki wedna dil ki yahan par kaun sunta hai
bhula kar gham ko yaadon ki kahin parchhaiyan rakh do
baDe nadan ho tum 'dip' lahron se na lo panga
Duba degi tsunami dil ki apni kashtiyan rakh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.