jald kar de gham-e-furqat ke hawale mujhko
jald kar de ġham-e-furqat ke havāle mujh ko
tere milne kī ḳhushī maar na Daale mujh ko
zulm ke naam pe jhuknā nahīñ sheva merā
pyaar ke naam pe koī bhī jhukā le mujh ko
maiñ kisī kī nigah-e-nāz kā dīvāna huuñ
kyā lubhā.eñge chhalakte hue pyāle mujh ko
ab shab-e-ġham ke añdheroñ kā nahīñ ḳhauf koī
mil ga.e haiñ tirī yādoñ ke ujāle mujh ko
tujh ko bhī kar na de barbād mirī barbādī
soch le itnā zarā lūTne vaale mujh ko
maiñ vo parvāna huuñ jis samt chalā jaatā huuñ
gher lete haiñ vahīñ aa ke ujāle mujh ko
maiñ to talvār ke saa.e meñ paḌā huuñ 'nayyar'
kyā Darā.eñge bhalā barchhī-o-bhāle mujh ko
jald kar de gham-e-furqat ke hawale mujh ko
tere milne ki KHushi mar na Dale mujh ko
zulm ke nam pe jhukna nahin shewa mera
pyar ke nam pe koi bhi jhuka le mujh ko
main kisi ki nigah-e-naz ka diwana hun
kya lubhaenge chhalakte hue pyale mujh ko
ab shab-e-gham ke andheron ka nahin KHauf koi
mil gae hain teri yaadon ke ujale mujh ko
tujh ko bhi kar na de barbaad meri barbaadi
soch le itna zara luTne wale mujh ko
main wo parwana hun jis samt chala jata hun
gher lete hain wahin aa ke ujale mujh ko
main to talwar ke sae mein paDa hun 'nayyar'
kya Daraenge bhala barchhi-o-bhaale mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.