jalne do nasheman ko jalta hai to jal jae
jalne do nasheman ko jaltā hai to jal jaa.e
bhaḌke hue sho.aloñ kā armāñ to nikal jaa.e
dīvānoñ kā kyā maslak dīvāne to dīvāne
jo dil meñ samā jaa.e jo muñh se nikal jaa.e
lab tak to na aa.egā rāz-e-ġham-e-dil lekin
mumkin hai ye afsāna palkoñ se machal jaa.e
us zauq-e-tajassus kī azmat ko ḳhudā jaane
jo hadd-e-ta.ayyun se kuchh aage nikal jaa.e
ai ahl-e-chaman ham to is zehn ke hāmil haiñ
phūloñ ko jo Thukrā de kāñToñ se bahal jaa.e
kuchh rang to bharne do tasvīr-e-mohabbat meñ
ye merā muqaddar hai bigḌe ki sañbhal jaa.e
tum mere nasheman ke jalne pe to hañste ho
lekin jo koī sho.ala ruḳh apnā badal jaa.e
fariyād kī lai meñ bhī 'hairat' koī nudrat ho
is tarah ki har naala naġhmāt meñ Dhal jaa.e
jalne do nasheman ko jalta hai to jal jae
bhaDke hue shoalon ka arman to nikal jae
diwanon ka kya maslak diwane to diwane
jo dil mein sama jae jo munh se nikal jae
lab tak to na aaega raaz-e-gham-e-dil lekin
mumkin hai ye afsana palkon se machal jae
us zauq-e-tajassus ki azmat ko KHuda jaane
jo hadd-e-tayyun se kuchh aage nikal jae
ai ahl-e-chaman hum to is zehn ke hamil hain
phulon ko jo Thukra de kanTon se bahal jae
kuchh rang to bharne do taswir-e-mohabbat mein
ye mera muqaddar hai bigDe ki sanbhal jae
tum mere nasheman ke jalne pe to hanste ho
lekin jo koi shoala ruKH apna badal jae
fariyaad ki lai mein bhi 'hairat' koi nudrat ho
is tarah ki har nala naghmat mein Dhal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.